Home < previous  |  next >  

kisi sheher ka kisi shaam ka nahin rehta
jo tera ho wo kisi kaam ka nahin hota 

Yeh dolat bhi ley lo yeh shuhrat bhi ley lo
Bhaley chheen lo mujhsey meri jawani
Mager mujhko lota do bachpan ka sawan
Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani
Muhalley ki sab sey purani nishani
Wo bhuriya jisey bachey kehtey they nani
Wo nani ki baton mein parion ka dera
Wo chehrey ki jhurion mein sadion ka pehra
Bhulaye nahi bhool sakta hey koi
Wo Chhoti si ratein wo lambi kahani
Kari dhoop mein apney ghar sey nikalna
Wo chiriya wo bulbul wo titli pakarna
Wo guriya ki shadi pey larna jhagarna
Wo jhuloon sey girna or gir ker sanbhalna
Wo peetal key chhalon key piyarey sey tuhfey
Wo tooti huee choorion ki nishani
Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani
Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani 

Mar Ke Be Na Wadha Apna Tore Ge Ek Dhoje Ka Sath Kabhi Na Chore Ge
Apna To Sadiyo Janmo Ka Nata Hai JanSe Jan ko Kon Judha Ker Pata Hai

CHALE BHI AAWO, HUM TUMHE YAAD KIYA KARTE HAIN,
YEH WOH GUNAAH HAI, JO HUM BAAR BAAR KARTE HAIN,
NA HAI SUKOON TUMHE, AUR NA HAI AB QARAAR HAMEIN,
JALA KE CHARAGH IS DIL MEIN, HUM TERA INTIZAAR KARTE HAIN,
TERI WOH HOTON KI TABASSUM, AUR WOH TERI QAATILAANA NAZAR,
TERI HAR EK ADAA PE, HUM APNI JAAN NISAAR KARTE HAIN,
TERE WAFAWON KI YAAD, AB IS SEENEY MEIN YUN UBHARTI HAI,
BHULA KAR TERA HAR EK SITAM, HUM TUM SE HI PYAAR KARTE HAIN,
CHALE BHI AAWO, HUM TUMHE YAAD KIYA KARTE HAIN,
YEH WOH GUNAAH HAI, JO HUM BAAR BAAR KARTE HAIN,

Mere Ansoon Ki Lardi Par Tera Naam Ho Ga
Kia Kahbar Thi Keh Cahhat Mein Yeh Anjaam Ho Ga
Kushia Mana Rhey Ho Gero K Gale Ka Har Ban Kar 
Kia Tajarat Hai Yeh Piyar Jo Ayse Nilaam Ho Ga
Bohat Kuch Kar Jaoon Teri Bewafai K Badle
Magar Sochta Hoon Keh Tu Badnaam Ho Ga
Tera Piyar Qasmein Aur Wadey Sab Jhote Nikle
Maloon Na Tha Keh Tu Bhi ik Shakhas Aam Ho Ga
Mujhe Pehchane Se Masalsal inkar Karte Rhey
Na Jante They Keh Tamasha Sarey Aam Ho Ga 

I wish I could say,
That I love u 
It is better time & way 
Coz it is valentine day 
I m felling heart day by day
If u will say i will obey
I have made a house with hay & clay 
Which is near the bay 
That is my dream house 
In this u & I will stay 
When u left me 
I m alone till today 
i always think when would u come 
&I will celebrate my valentine day 

DIL KAY MAREEZ KO KABHI AARAAM NAHI AATA..
TOOTAY HUYE PAIMANAY MAIN KABHI JAAM NAHI AATA
AAI DIL TORDNAY WAALAY KABHI YEH TO SOCHA HOTA 
KAY TOOTA HUWA DIL KISSI KAY KAAM NAHI AATA.....

Zaroori to nahin jeene ke liye sahara ho 
Zaroori to nahin hum jinke hain vo hamara ho 
Kuch Kashtiyaan doob bhi jaati hain... 
Zaroori to nahin ke har Kashti ka koi kinara ho....

aankhoon sey merey is lia lalli nahi jati
yadoon sey koi raat jo khalli nahi jati
tuu jaan bhe mangey ga to hens key tughey dey dein gey
tere to koi baat bhe talli nahi jaati

sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya
lehje se uth raha tha har ik dard ka duhan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya
aawaz mein therao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya
jane kya us ko loghon se thi shikayatein
tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya
 
haath mein jo dil rakha,
roshan saaraa jahan hua...
pyaar kiya ek baar hamne,
umr bhar ka nasha hua.... 

jub say daikha insaan nay sheeshay main upnay aap ko,
tub say sumjhnay laga buda haseen wo upnay aap ko.
nadaan hai wo kay nahi jaanta is baat ko,
naa pasand hai Allah ko kay daikhna sheeshay main upnay aap ko.
nahi jaati kahan tuk fikr-e-insaani nahi jaati,ay kaash magar.
too jhank lay upnay graibaan main aik baar aur jaan lay upnay aap ko.
kaisa hai insaan too, kay bhaagta hi rehta hai upni khawahishoan kay peechay,
kaash too jaan lay Allah ko aur ker lay mushghool ibaadat main upnay aap ko.
main yeh soachti hoon ay Shajar aksar kay kya kya main nay tamaam umer,
bhaagti rahi main khawahishoan kay peechay tamaam umer,
kaash main jaan laitee upnay aap ko. 
khud bhi voh hum se bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya.... 

" I LOVE YOU"
MY LIPS SINGS FOR YOU.....
MY EYES LOOKING FOR YOU.....
MY HEART BEATS FOR YOU...
YOU KNOW WHY???
BECAUZE!
"I LOVE YOU " .....

Ek umer ke baad uss ko dekha ! 
Aankhoon mein sawaal thay hazarooon 
Hontoon pe magar wohi tabbassum ! 
Chehrey pe likhi hui udaasi 
Awaaz mein gunjti judaiiiii 
Baanhein theen magar wasaley samaa ! 
Simtee hui uss ke baazuoon mein 
Ta dair sochtee rahi thee 
Kisi abr-e-guraiz paa ki khatir 
Main kaise shajar se katee rahi thi 
Kiss chaoon ko tarq kar diya tha 
Mein uss ke galey lagi hui thi 
Woh ponch raha tha aansoon merey 
Lakin bohot dair ho chukii theeeee. 

bewafa teri chahat nay kitni badal di hai zindagi meri
gar na hoti to raat ko sukooon say sotay din main chain hota

aisy tarekiyaan aakar aankhoon mein basi hein faraz.....
rat to rat hay hum din meen bhi jalaty hein chiragh..........
 
Ghum unko bhi naseeb hotay hain
Jo log khushnaseeb hotay hain
Hota hai dunya main koi aik hi apna
Warna saray dusray raqeeb hotay hain

Us ki Soorat bhi tere liye kitni zalim hai faiz
Bhulao to bhoolti nahi yad karo to rulati hai

KAASH MAIEN (mother)NA MARTEIN 
Mujhay raat gay tak bahir rahnay per rokti rahti thi 
Main us ki baatain sun kar hansi say uchaal data tha 
Kal say jaldi aaon ga kah ker taal data tha 
Who mujhay deekh kar muskra dati thi 
Aur pyaar say chapat laga dati thi 
Main usay bohat satata tha bohat nakhray deekhata tha 
Who her baar meray naaz uthati thi 
Who meray sadkay wari jati thi 
Raat kay kisi pahar bhi ghar jo aata us ko apna muntizar pata 
Din raat us kay pyaar ki barsat hoti 
Us ki duyain hameesha meray saath hotin 
PER AB 
Zindagi main who baat nahi hai 
Kyu kah who meray saath nahi hai 
Us kay pyaar bina dil ki zameen sookhi hai 
Ek wohi mukhlis thi sari duniya rokhi hai 
Ghar jab loton who nigahain dhoondta hon 
Sama jaon jin main who bahain dhoondta hon 
Un jaghoon ko deekhta rahta hon jahan beth kay who mera intzaar karti thi 
Main ghantoon apna chahra deekhta hon jahan who mujhay pyaar karti thi 
Teri dua kay bagair sarkon per nikal jata hon 
Her kadam her rastay per thoker khata hon 
Maan to meray liay khuda ki soorat hai 
Tu lout aa kah mujhay abhi teri zaroorat hai 
Main ghar jaldi lout aaon ga Khuda kasam tujhay kabhi na sataon ga 
Teri khidmat sobha shaam karon ga jo kahay gi who her kaam karon ga 
Meray kaan phir say muntizar hain ek baar phir who lori suna day 
Ek arsa hua main soya nahi 
Tu apni goud main mujhay sula day 
Kaash kabhi aisi duyain na martein 
Kaash kisi ki maien na martein 

mere zindagi ka her lamha teray hi naaam hai,,
kabhi yadon main toh kabhi dil main tera ehsas hai,,
her lamhay ki alag kahani hai,,
jaisay khushiyon ki ruut suhani hai,,
piyar main taraph piyar main ehsas hai,,
kabhi naami hai in aankhon main,,
kabhi khushiyon ki bahaar hai,,
her lamha bess tera hi kheyal hai,,
ju mere her khushi her yaad ki shurowat hai,,
Home < previous | next >
Contact Us | Advertise wid us